Saturday, December 3, 2011

Aap

Shyaam ke dhalte suraj mein
Jab thandi hawa yun chalti hai
chutti hote hi daftar se
Jab gaadiyaan ghar ko mudti hai
Tab yaad aapki aati hai
Tab aansu yoon chalakte hain

Aap

Shyaam ke dhalte suraj mein
Jab thandi hawa yun chalti hai
chutti hote hi daftar se
Jab gaadiyaan ghar ko mudti hai
Tab yaad aapki aati hai
Tab aansu yoon chalakte hain

ये ज़िन्दगी

Kya zindagi ho gayi hai ye
Na apno k liye waqt hai, na apne liye
Jaane kis talaash mein,
Guzar rahe hain din
Aisa lagta hai jaise,
Maano Sab raha ho chin
Pag pag pe kaate hain raahon mein meri
Rasta hai soona, raahein andheri
Chalna hai lamba, dhalne ko hai din
Thaka sa hai abb tan,
Dhundala gayi hai manzil
Abb bas tera hai sahara
Ban-na hoga tujhe hi rakhwala

Friday, November 25, 2011

mann

Mann ka panchi.
Kabhi idhar udhaa
kabhi udhar chala
Kabhi dukh ki ganga
Kabhi sukh mein uchala
Nadiya ki dhara
Kabhi parvat sa kathor
Kabhi bilkul shant
Fir bhayanak shor

Naari

Aatm nirbharta k iss yug mein
Naari tu abala na rahi
Par fir bhi bolo kis yug mein
Tune hai peeda na sahi
Tan se komal, mann se komal
Par himmat ki kami na rahi
Par fir bhi ae naari tune
Kab hai peeda na sahi

Zindagi

Ye kaisa mod hai
Na koi or na hi chor hai
Zindagi bas chale ja rahi hai
Na koi maksad na hi kuch aur hai
Kabhi isse anbann, kabhi usse jhagda
Inhi sab pareshaniyon ne hai jakda
Mann ko araam na hi tann ko sukun hai
Ye kaisa mod hai, ye kaisa mod hai