Saturday, December 3, 2011

ये ज़िन्दगी

Kya zindagi ho gayi hai ye
Na apno k liye waqt hai, na apne liye
Jaane kis talaash mein,
Guzar rahe hain din
Aisa lagta hai jaise,
Maano Sab raha ho chin
Pag pag pe kaate hain raahon mein meri
Rasta hai soona, raahein andheri
Chalna hai lamba, dhalne ko hai din
Thaka sa hai abb tan,
Dhundala gayi hai manzil
Abb bas tera hai sahara
Ban-na hoga tujhe hi rakhwala

No comments: